na kar shumaar ki har shae gini nahiiN jaatii

ye zindgii hai hisaaboN se jii nahiiN jaatii

ye narm lahja, ye rangiini-e-bayaaN, ye Khuluus

magar laDaaii to aise laDii nahiiN jaatii

sulagte din meN thii baahar, badan meN shab ko rahii

bichhaD ke mujhse bas ek tiirgi nahiiN jaatii

naqaab Daal do jalte udaas suuraj par

andhere jism meN kyuuN roshnii nahiiN jaatii

har ek raah sulagte hue manaazir haiN

magar ye baat kisii se kahii nahiiN jaatii

machalte paanii meN uuNchaaii kii talaash fuzuul hai

pahaaD par to koii bhii nadii nahiiN jaatii