na gul-e-naaGhma huuN, na parda-e-saaz

maiN huuN apnii shikast kii aavaaz

tuu aur aaraaish-e-Kham-e-kaakul

maiN aur andesha-e-haai-duur daraaz

laaf-e-tamkiiN fareb-e-saada-dilii

ham haiN aur raaz-haai siina-e-gudaaz

huuN giraftaar-e-ulfat-e-sayyaad

varnaa baaqi hai taaqat-e-parvaaz

nahiiN dil meN mere voh qatra-e-KhuuN

jis se miZhghaaN huii na ho gul-baaz

mujhko puuchha to kuchh Ghazab na huaa

maiN Ghariib aur tuu Ghariib-navaaz

Asadullah Khan tamaam huaa

aye dareGhaa voh rind-e-shaahid-baaz