Na Abb

Na abhi

Na Kab

Na kabhie.

Is me na subah ka dhoop samata hai,

Na raat ki chandini.

Bus saans ke dor ko bandhe rakhta hai.

Na Rehta hai

Na chalta hai.

Yeh bin badal barsat jaise.

Bin awaaz ke chikh jaise.

Bin namak ke aasun jaise.

Gunjta hai bezuban tofan ki raton main.

Aachanak se phutha hai sapno ki sapno main.

Chupp jata hai ruuh ke gehrayiyon main.

Na zinda rakhta hai.

Na marne deta hai.

Khud bina pankh ke uddtha hai.

Koi aur uddh ke toh dikhaye.

Sar se aasman chin le …

Paun taale se zameen.

Yeh Bedard,

Behosh,

Berang…

Kash.