mujhe de rahe.n hai.n tasalliyaa.N vo har ek taazaa payaam se

kabhii aake manzar-e-aam par kabhii haT ke manzar-e-aam se

na Garaz kisii se na vaastaa, mujhe kaam apane hii kaam se

tere zikr se, terii fikr se, terii yaad se, tere naam se

mere saaqiyaa, mere saaqiyaa, tujhe marahabaa, tujhe marahabaa

tuu pilaaye jaa, tuu pilaaye jaa, isii chashm-e-jaam ba jaam se

terii subh-o-aish hai kyaa balaa, tujhe ae falak jo ho hausalaa

kabhii karale aake muqaabilaa, Gam-e-hijr-e-yaar kii shaam se