mujhe apne desh bhula lo babul

kyun baija itni door mohe

jo aagan kabhi chodha naa tha

aaj dekhne ko dil tarasta hai.

apni bachpan ki saheliyon ko.

milne ko dil tadapta hai.

kyun baija itni door mohe

woh khilone mere kahan hain

jin ke sath khel kar main badhi huyi.

vo gudiya meri kahan hai

jiska byah maine rachaya tha.

kyun baija itni door mohe.

bhaiya ki main ladli bahen

didi ki main parchayi hoon

aama ki main dulari bitiya

aapka main abhimaan hoon.

kyun baija itni door mohe

mujhe apne desh bhula lo babul

~**~**~