‘Mujhay Aksar Wo Kehti Thi Muhabbat Kuch Nahi Hoti

Hijr Ka Khauf Be Matlub,

Vasal k Khuwab Be Mani

Koi Soorat Nigahon Mein

Kahan Din Raat Rehti Hay

Usay Kiun Khamoshi Kahiye

K Jis Mein Baat Rehti Hay

Yeh Aansoo Be Zuban Aansoo

Bhala Kya Bol Saktay Hain

Kahan Dil Mein Kisi Ki Yaad Se Toofan Uthtey Hain

Kahan Palkon K Saaye Mein

Nami Din Raat Rehti Hay

Kahan Hoti Hain Vo Aankhein Jahan Barsaat Rehti Hay

Mujhay Aksar Vo Kehti Thi Muhabbat Kuch Nahi Hoti

Magar Jab Aaj Barson Baad

Main Ne Uss Ko Dekha Hay

K Uss Ki Jheel Aankhon Mein

Hijr Ka Khauf Rehta Hay

Vasal k Khuwab Rehty Hain

Wahan Barsaat Rehti Hay

Yun Lagta Hay Kayii Raaton Se

Wo Soyi Nahi Shayed

Yun Lagta Hay Kisi Ki Yaad

Ab Din Raat Rehti Hay

Aur Uss Ki Narm Palkon K

Haseen Saaye b Geelay Hain

Aur Uss Ki Khamoshi Aisi K

Jis Mein Baat Rehti Hay

Mujhay Ab Wo Nahi Kehti

‘Muhabbat Kuch Nahi Hoti’

K Her Deewar Per Ab Wo

Kisi Ka Naam likhti Hay’??M?E??