Muhabbat Beqarari Hai

Ye Nuskha Aazmuda Hai

Bauhat LogOn Ne Is Nuskhe Ki Aadat Paal Rakhi Hai

Kisi Shaa’ir Ne De Daala Isse Ism-E-Ibadat Hai

Kisi Shaa’ir Ka Kehna Hai Ke Ye Saamaan-E-Raahat Hai

Kisi Ne Ye B Keh Daala Ke Do JismOn Mein Ek Ruhh Hai

Kisi Ne Ye B Likha Hai Ke Ye Ek Amr-E-Qudrat Hai

Kisi Ne Isko Khushbu Ka Dia Hai Naam Pall-Bhar Mein

..Yahaan Tak Ke Jisse B Lafz Milte Hain

Wohi Azhaar Karta Hai

Main Khud Taa’eed Karta Hun, Bauhat Unke NazaryOn Ki

Magar Meri Nazar Mein To

Aziyyat Ka Saamaan Hai Ye

Jahaan Per Rog Palte Hain

SunO ! Aisa Jahaan Hai Ye

Mayaad-E-Hum-Mizaji B Bauhat Hai Mukhtasir Iski

Hai Jiski Intahaa Is Mein, Hai Buss Wo Aablaa-Paa’ii

Mera To Ye Nazariya Hai

Mera To Tajurba Hai

MuhaBBaT BeQarari Hai

Ye Nuskha Aazmuda Hai . . .