Mohabbat tum he thahray,

mohabbat gar tumhi thahray

to phir raahon mein haail in

bichraay sab he barsoon ki

qasm hai mere jazboon ko

ke wo tajdeed kar daalien, faqt itna he kah daalien

‘ke kal bhi dast e ulfat ko ek matloob tum he thay

abh bhi mere lafzoon se bas maqsood tum he ho:

kal bhi tum se thi poori

meri be_hadd adhoori zaat

abh bhi mere jeewan ki

bas ek he zaroorat hai

humhien iqraar tha kal bhi

humhien iqraar hai abh bhi

humhien tum se mohabbat thi

humhien tum se mohabbat hai!!!’