Mohabat Ki Tabiyyat Men Ye Kesa Bachpana Qudrat Nay Rakha He

K Ye Jitni Purani, Jitni Bhi Mazboot Ho Jay

Isay Izhar K Lafzon Ki Hajat Phir Bhi Rehti Hey

Mohabat Mangti He Yun Gawahi Apnay Honay Ki

K Jesay Tifl-E-Sada Sham Ko Ek Beej Boay

Or Shab Men Barha Uttay Zamin Ko Khoud Kr Dekhay

K Poda Ab Kahan Tak He

Mohabbat Ki Tabiiyat Men Ajab Takrar Ki Khu He

K Ye Iqrar K Lafzon Ko Sunnay Se Nahin Thakti

Bicharnay Ki Ghari Ho

Ya Koi Milnay Ki Sa’at Ho

Isay Bas Aik Hi Dhun He

Kahu Mujh S Muhabat He

Samandar Se Kahin Gehri,

Sitaron Se Siwa Roshan

Paharon Ki Tarhan Qaym,

Hawaon Ki Tarhan Daym

Zamin Se Asman Tak Jis Qadar Achay Manazir Hen

Mohabat K Kina’ay Hen

Wafa K Istea’ary Hen

Hamaray Hen

Hamaray Wastay Ye Chandni Raten Sanwarti Hen

Sunehra Din Nikalta He

Mohabat Jis Taraf Jay

Zamana Sath Chalta H