Mohabat k mausam

Zamanay k sub mausamon se niralay

Bahar-o-khizan in ki sab se juda

Alag in ka sokha alag hai ghata

Mohabat k khit’tay ki aab-o-hawa

Mawra hai un ansir say jo

Zamanay k taghayyur ki bunyaad hain

Ye zamaan-o-makaan k kam-o-besh se

Aisay aazad hain

Jaisay

Subh-e-azal jaisay shaam-e-fana

Shab-o-roz-e-aalam k ahkaam ko

Ye mohabat k mausam nahi maantay

Zindagi ki musafat k anjaam ko

Ye mohabat k mausam nahi mantay

Rifaqat ki khushboo say khali ho jo

Ye koi aisa manzer nahi dekhtay

Wafa k ilawa kisi kam ko

Ye mohabat k mausam nahi mantay