mjhe mt btana

k tm ne mjhe chordne ka irada kia tha

to q

aur ks waja se

abhi to tmhare bichardne ka dukh bhi kum nahi howa

abhi to main

batun k, wadun k shehr e talismat mai

ankh pr khushgumani ki pati lapaite

tm ko pairdun k peche, darakhtun k jhund

aur dewarun ki pusht pr dhundne mai magan hun

kahen pr tumhari sada aur kahen pe tumhari mehak

mjh pe hansne mai masruf hain

aur abhi tk tumhari hansi se nibard azma hun

aur is jung mai

mera hathiyar

apni wafa pe bharosa hey aur kuch nahi

isey kund kerne ki koshish na krna

mjhe mt btana ……….