Mil hi jaye ga kahiin dil ko yaqeen rehta hai

Woh isi shehar ki galiyon may kahin rehta hai

Ek zamana tha k sab aik jagah rehtay the…

Aur ab koi kahin koi kahin rehta hai…

Jis ki sanso’n se mautar the dar-o-baam tairay..

Aye makan bol kahan ab woh makeen rehta hai..

Rauz milnay pe bhi lagta tha k jug beet gaye..

Ishq may waqt ka ehsaas nahi rehta hai..

Dil afsurda hua uss ko dekh kar lekin

Umar bhar kaun Jawan kaun Haseen rehta hai..!