mez ek paaNv gaNvaa chukii hai

takiyaa kursii se alag rakhaa hai

vaar chuukaa thaa, suraahii ka galaa kahtaa hai

kaapiyoN aur kitaaboN pe paDay niile daaG

kah rahe haiN ki davaat ulTii thii

munnii TuuTii huii chuuRii ke liye rotii hai

munna rotaa hai ki ghoRay kii kamar TuuT gayii

murGiyaaN chuntii haiN bikhre geNhuu

kuchh na samjhii haiN to khush khush sii nazar aatii haiN

vo jo ghuuraa thaa galii me muNh par

jaise kamre meN chalaa aayaa ho

maiN bhii kuchh TuuTaa huaa baiThaa huuN

tum bhii kuchh kam se nazar aate ho

kamraa itnaa hii baDaa thaa kal bhii…