Meri dastan hasrat wo suna suna kar roye,

Mere azmane wale mujhe azma kar roye,

Koi aisa ahal-e-dil ho k fasana mohabbat,

Main usse suna kar roun wo mujhe suna kar roye,

Mere pass se guzar gaya mera haal taak na poocha,

Main yeh kaise maan jaun ke wo door jaa kar roye,

Teri bewafaiyon par teri kujarayion par,

Kabhi sir jhuka kar kabhi muh chhupakar roye

Ashiqe aarzoo ki duniya dil-e-natawan ki hasrat,

Jise kho kar shadme me the usse aaj paakar roye

Jo sunayi anjuman mein shabe-e-gum ki aap beeti,

Kai ro kar muskuraye kayi muskura kar roye..!!!