mere qaatil mere dildaar mere paas raho

jis ghaDii raat chale

aasmaanoN kaa lahuu pii kar siyaah raat chale

marham-e-mushk liye, nashtar-e-almaas chale

bain kartii huii haNstii huii gaatii nikle

dard kaa kaasnii paazeb bajaatii nikle

jis ghaDii siinoN meN Duubte hue dil

aastiinoN meN nihaaN haathoN kii raah takne nikle

aas liye,

aur bachchoN ke bilakhne kii tarah qulqul-e-mae

bahar-e-naa-aasuudgii machle to manaaye na mane

jab koii baat banaaye na bane

jab na koii baat chale

jis ghaDii raat chale

jis ghaDii maatamii sunsaan siyaah raat chale

paas raho

mere qaatil mere dildaar mere paas raho