Marhalay shoq ke dushwar howa kartay hain..

Saaye bhi raah ki dewaar howa kartay hain..

Wo jo sach boltay rehnay ki kasam khaatay hain..

Wo adalat mein gunaah-gaar howa kartay hain..

Sirf haathon ko na dekho kabi aakhen bhi parho..

Kuch sawaali barray khud-daar howa kartay hain..

Wo jo pathar yunhi rastay paray rehtay hain…

Un ke seenay mein bhi shaah-kaar howa kartay hain…

Subaah ki pehli kiran jin ko rula deti hai..

Wo sitaaron ke azadaar howa kartay hain..

Jin ki aankhon mein sadaa pyaar ke sehra chamkain..

Dar haqiqat wohi fankaar howa kartay hain..

Sharam aati hai dushman kisay samjhain

‘’ Mohsin”

Dushmani ke bhi kuch mayaar howa kartay hain…

tahir