Mar mitta hoon khayal par apne.

Wajd aata hai haal par apne.

Abhi mat dijiyon jawab k Mein.

Jhoom to loon sawal par apne.

Umar bhar apni aarzu ki hai.

Mar na jaon visaal par apne.

Ek ata hai Meri hawas nigahi.

Naz kar khad-o-khaal par apne.

Jane is dam wo kis ka mumkin ho.

Bais mat kar‘Muhaal par apne.

Tu B aakhir kamal ko poncha.

Mast hoon Mein‘Zawal par apne.

Bas yunhi Mera gaal rakhne de.

Meri jaan! Aaj gaal par apne.