MAJBORI

Chahat main kya dunya dari,Ishq main kasi majbori

Logon ka kya samjhane do, un ki apni majbori

Main ne dil ke baat rakhi aur tu ne dunya walon ki

Meri arz bhi majbori the un ka hukam bhi majbori

Rok sako to pehli barish ki bondon ko tum roko

Kachi mati to mehke ge hai mati ke majbori

Jab tak hansta gata musam apna hai sab apne hain

Waqt pare to aa jati hai Masnoi majbori

Mudet guzri ek wade per aaj bhi qayam hain

Hum ne sari umer nibhahi apni pehli majbori