Main raigzaar hoon aisa gumaan parrtaa hai,

Hawa lage tou badan per nishaan parrtaa hai,

zameen k baad samandar hai aur iss k baad,

Aadam k raste mein aasman parrta hai,

Main ab k ishq mein aisa hawaas-baakhtaa hoon,

K jaise koi naya kaam aan parrta hai,

Main jab b kaar_e_jahan se faraar ka sochoon,

tou mere paaoon mera Khaandaan aan parrta hai,

Khabar nahi thi MOhabat ka beej botay huay,

k fasal uthane se pehle lagaan parrta hai……..