maiN Gautam nahiiN huuN

magar maiN bhii jab ghar se niklaa thaa

yeh sochtaa thaa

ki maiN apne hii aap ko DhuunDhne jaa rahaa huuN

kisi peR ki chhaoN meN

maiN bhii baiThungaa

ek din mujhe bhii koii gyaan hogaa

magar jism kii aag jo ghar se lekar chalaa thaa

sulagtii rahii

ghar ke baahar havaa tez thii

aur bhii yeh bhaRaktii rahii

ek ek peR jalkar huaa raakh

maiN aise sahraa meN ab phir rahaa huuN

jahaaN maiN hii maiN huun

jahaaN meraa saayaa hai

saaye ka saayaa

aur duur tak

bas Khalaa hii Khalaa hai