Main chahne waalon ko mukhatib nahi karta,

Aur tark-e-ta’aluq ki main wazahat nahi karta,

Main apni jafaon Pe naadim nahi hota,

Main apni

wafaon ki tijarat nahi

karta,

Khushbu kisi tash’heer ki mohtaaj nahi

hoti,

Sacha hoon magar apni wakaalat nahi karta,

Ehsas ki sooli pe latak jata hoon aksar,

Main jabr-e-musalsal ki shikayat nahi karta,

Main azmat-e-insan ka qayel to hoon

‘*MOHSIN*’

Lekin kabhi bandon ki Ebadat nahi karta