Magroor hi sahi mujhe acha bahot laga

wo ajnabi to tha magar apna bahot laga

rootha hua tha hans to pada mujh ko dekhkar

mujh ko to iss qadar bhi dilaasa bahot laga

sehra mein jee raha tha jo dariya-dili ke saath

dekha jo gaur se to wo pyaasa bahot laga

wo jis ke dum-qadam se thee’n basti ki raunkein

basti ujad gaee to akela bahot laga

lipta hua ho jaise kuhar mein jaise khizaa’n ka chand

maile libaas mein bhi wo pyaara bahot laga

resham pehan ke bhi meri qeemat na badh saki

khaddar bhi uss ke jism pe mehnga bahot laga

‘Mohsin’ jab aaeene pe meri saans jamm gaee

mujh ko khud apna aks bhi dundhla bahot laga.