Macchal uth’ti hai shakhein, aur shagoofay raqss karte hain

Hawa jab gudgudati hai tu pattay raqs karte hain

Jahan yak’ rang ho jayen khudi aur bekhudi dono

Unhi sarshaar lamhoon mein farishtey raqs karte hain

Abhi sehraon ki wehshat ka andaza nahi tumko

Inhein iss waqt dekho jab bagoley raqs karte hain

Yeh manzar tumne bhi shayed kabhi dekha ho kashti se

Thehar jaati hain maujain aur kinaray raqs karte hain

Chiraaghon ki lau’ein yun thatharati hain andheron mein

Kay jaise shab kay angan main, ujalay raqs karte hain

Mahazab door hai lekin,yeh manzar aam hai ab bhi

Kay bismal jab tarapta hai, qabilay raqs karte hain

Main jab tak hoon, meri yeh arzoo’ein bhuj nahin saktiin

Mujhe jalna hai jab tak yeh shararay raqs karte hain

Jawaaz iska koi ay SHAAD kya samjhayega mujhko ?

KAY MAIN GARDISH MAIN HOON GAR SITARAY RAQS KARTE HAIN