Lo! raqibon mein naya ek naam shamil ho gaya

Ghair tha koi jo ab k raah mein hayal ho gaya

Din kuch aisay bhi dekhayein hein mujhe taqdeer ne

Mein hua badnaam wo shuhrat ka hamil ho gaya

Gerd-e-she Ayyam ki hum Zad mein Aisay aa gaye

Beh gaye toofan mein aur door saahil ho gaya

Gher ki bathon mein youn aaye bhula dala hamein

Meri bathon ka asar lamhon mein zayal ho gaya

Os ne aankhein hee badal dali hein tujh se aey SHERY

Aur chupkay se kisi janib wo mayal ho gaya