likhnaa use hoNtoN se, paDhnaa lab-e-laaliinaa

us shoKh ko likh paDh ke siikhaa hai Gazal jiinaa

sab sang-e-malaamat ke ruKh ek hii jaanib haiN

zad par huuN magar maiN hii, maiN hii huuN magar biinaa

paabasta sadaaoN kii zanjiir sii hai aage

aage na jaa is had se tham jaa..dil-e-Gamgiinaa

talvaar sii chaltii hai voh kaaT hai saaNsoN meN

kin Khuunii baguuloN kii zad par hai magar meraa siinaa

kab chaDhtaa huaa suuraj dharti pe utar aaye

kab raah meN ruk jaaye yah chaltaa huaa ziinaa