Libaas tan se utaar dena

Kisi ko Banhoon ka ka har dena

Phir uss k jazbon ko Maar dena

Agar Mohabat yahi ha Jana

To Muaf karna mujhay nahi ha.

Gunah karny ka soch lena

Haseen Pariyann daboch lena

Phir us ki ankhain hi noch lena

Agar Mohabat yahi ha Jana

To Muaf karna mujhay nahi ha.

Kisi ko lafzon k jaal dena

Kisi ko Jazboon ki Dhaal dena

Phir us ki izzat uchaal dena

Agar Mohabat yahi ha Jana

To Muaf karna mujhay nahi ha.

Andhari Nagri main chalty jana

Haseen kaliyaan Masalty jana

Aur apni fitrat pay Muskurana

Agar Mohabat yahi ha Jana

To Muaf karna mujhay nahi ha.

Saja raha hay her ik dewana

Khayal-e-husn-o-Jamal Jana

Khayal kia hain Hawas ka Tana

Agar Mohabat yahi ha Jana

To Muaf karna mujhay nahi ha.