Lab-e-khamosh se izhaar-e- tamanna chahe

baat karne ko bhi tasveer ka lehjaa chahen

tu chale saath toh aahat bhi na aaye apni

darmiyan hum bhi na ho yun tujhe tanha chahen

khwaab mein royen toh ehsaas ho sairaabi ka

ret pe soye magar aankh mein dariya chahen

aese tayraaq bhi dekhen hain Muzaffar humne

garq hone ke liye bhi jo sahara chahen

*zAhId* *prInCe*