kyuuN tabiiat kahiiN Thahartii nahiiN

dostii to udaas kartii nahiiN

ham hameshaa ke sair-chashm sahii

tujh ko dekheN to aaNkh bhartii nahiiN

shab-e-hijraaN bhii roz-e-bad kii taraH

kaT to jaatii hai par guzartii nahiiN

ye mohabbat hai, sun, zamaane, sun!

itnii aasaaniyoN se martii nahiiN

jis taraH tum guzaarte ho Faraaz

zindagii us taraH guzartii nahiiN