Kyaa patah, kab sanam kee khabar aayegee?

Zindagee, zindagi hai: guzar jaayegee!!

Dourhtee baad-e-sarsar hai aatashbajaan

Aatash-e-tar jigar mein lahar jaayegee!

‘Maykasho, aaj peelo, hain labreyz khum!’

Saaqiyah eik hee baat dohraayegee!!

Dharhkanoun mein mulaaqaat hogee rawaan;

Nagmah-e-ishq fir nisf-shab gaayegee!

Khairmaqdam ko hongeen bahaareyn kharheen;

Gulmohar jhoom fir, phool barsaayegee!

Dhoop dhhal jaayegee: shaam aaney to do!

Surkh parcham sarey baam lahraayegee!!

Hain kharhey khol dar; deed hai raah par:

Kyaa kareygee nazar shokh? Sharmaayegee!

Zad mein aankhoun ki, jaisey hi aayengey woh:

Peishbaayee, ‘abd’, aur garmaayegee!