Kya hua jo tumhara saath nahi

Mere hathon main tumhara haath nahi

Mere liye tumhari yaadein hi kafi hain

Muhabbat main zaroori mulaqat nahi

Main sari umar tarsta hon chahat ke liye

Mere naseeb me shayad ye soghat nahi

Iss andaaz se bikhar kar phir simat na sakha

Mujhe samaitne wala hi koii haath nahi

Jis ki Pyar peh naz thaa, wo Pyar Bhi gaya

Kis qarb se kaha k,k ne koi baat nahi