Kuch zeest safar bhi lamba tha,

kuch hum bhi thorra susst chalay !

kuch hum bhi apnay dushman thay,

kuch hum ko dushman bohat milay !

kuch hum manzil ko bhool gaye,

kuch rastay behad sakht milay !

Or aaj yeh apni haalat hay,

har simt andhera chaya hay !

har simt hay chayie weerani,

har simt usi ka saaya hay !

is dasht mein hum nay kya khoya,

is raah mein hum nay kya paya !

Ik aag si dil mein bharrak othi or aankh mein pani bhar aaya! Tanha’DiL