*. . .Kuch is Ada Se Aaj wo pehlu Nasheen rahy,

Jab tak hamary Paas rahy, hum hum nahi rahy.

Ya Rab kisi k Raz-e-Mohabat ki kheir ho,

Dast-e-junoon rahy na rahy, Aas to rahy.

Dard-e-Gham-e-Firaq k ye Sakht Marhalay,

Heraan hon Main k phir bhi Tum itny Hseen rahy!

Ja Aur koi Zabt ki duniya Talash kar,

Ae ishq hum to Ab Tere Qabil nahi rahy.

Is ishq ki Talaafi-e-Mafaat dekhna,

Ronay ki hasraten hen jab Aansu nahi rahy. . .*

RõçKs.*.*.*.*.*.*