kiije na das men baiTh kar aapas kii baat chiit

pahuNchegii das hazaar jagaah das kii baat chiit

kab tak rahen Khaamosh ke zaahir se aap kii

ham ne bahut sunii kas-o-naakas kii baat chiit

muddat ke baad hazarat-e-naaseh karam kiyaa

farmaa_iiye mizaaj-e-muqaddas kii baat chiit

par tark-e-ishq ke liye izhaar kuchh na ho

main kyaa karuuN nahiin ye mere bas kii baat chiit

kyaa yaad aa gayaa hai ‘Zafar’ panjaa-e-nigaar

kuchh ho rahii hai band-o-muKhammas kii baat chiit