*Kia tum bhe….?

shaam ki dehleez pe

aas k deep jalatay ho….?

aur kise barg-e-aawara ki aahat par

darwazay ki janib bhagay jatay ho….?

kia tum bhe….?

dard chopanay ki koshish kartay kartay

aksar thak se jatay ho….?

aur bin-karan muskatay ho….?

kia tum bhe….?

neend se pehlay palkon par

dhairoun khawaab sajatay ho….?

ya pher be-khawaab jazeroun main

rootay rootay so jatay ho……..