Khushi ki baat hey ya dukh ka manzar,dekh sakta hoon

Teri aawaz ka chehra mein choo kar,dekh sakta hoon

Abhi tere labon pe zikr’e fasl’e gul nahi aaya

Magar ek phool khiltey apney andar,dekh sakta hoon

Mujhey teri mohabbat ne ajab ek roshni bakhshi

Mein iss dunya ko ab pehley se behter,dekh sakta hoon

Kinara dhoondney ki chaah takk mujh mein nahi hogi

Mein apney gird ek aisa samandar,dekh sakta hoon

Khayal aata hey aadhi raat ko bhi jab tera dil mein

Utarta ek saheefa apney ooper,dekh sakta hoon

Wisaal’o hijr ab yaksaa’n hein,woh manzil hey ulfat mein

Mein aankhen bund kar ke tujhko aksar,dekh sakta hoon

Abhi tere siwa dunya bhi hey mojood iss dil mein..

Mein khud ko kis tarah tere barabar,dekh sakta hoon?