Khuli jo Aankh tou woh tha,

Na woh zamana tha,

Dehakti Aag thi,

Tanhai thi,

Fasana tha.

Ghamon ne ßant lia yun mujhy Aapas me,

K jaise main koi Loota hua khazana tha.

Yeh kia k chnd hi Qadmun pe thak k ßaith gaye?

Tumhen tou sath mera door tk nibhana tha.

Mujhy jo mere laho me dubo k Guzra hy,

Woh koi gair nhe,

Yaar ek purana tha.

Khud apne hath se shehzad usko kaat dia,

K jis darkhat ki Thehni pe Aashyana tha..