Khuda se husn ne ek roz yeh sawaal kiya

Jahan mein kyon na mujhe tune lazawaal kiya

Mila jawaab ke tasweer khana hai dunya

Shabe draze udum ka fasana hai dunya

Hoi hai roz e taghayyur se jab namood uski

Wahi haseen hai haqiqat e zawaal hai jiski

Kahin Qareeb se yeh guftagu Qamar ne suni

Falak pe aam hoi akhter e sehar ne suni

Sehar ne sitare se sunkar sunai shabnam ko

Falak ki baat batadi zameen ke mehram ko

Phir aye phool ke aaNsoo payam shabnam se

Kali ka nannha sa dil khun ho gaya gham se

Chaman se rota hoa mausam e bahar gaya

Shabab sair ko ayaa tha sogwar gaya.

Allama Iqbal