Khud ko kyuuN jism kaa zindaani kareN

fikr ko taKht-e-Sulemaanii kareN

der tak baiTh ke socheN Khud ko

aaj phir ghar meN biyaabaanii kareN

apne kamre meN sajaayeN aafaaq

jalsa-e-be-sar-o-saamaanii kareN

umar bhar sher kaheN khuuN thuukeN

muntaKhib raasta-e-nuqsaanii kareN

Khud ke liye mol leN izhaar ka qarz

duusroN ke liye aasaanii kareN

sher ke lab pe Khaamoshi likheN

harf-e-naa-guftaa ko laa-saanii kareN

kiimiyaakaarii hai fan apnaa Saaz

aag ko baiThe hue paani kareN