Khamoshi bol uThe, har nazar paiGaam ho jaaye

ye sannaaTaa agar had se baDhe, kohraam ho jaaye

sitaare mashaaleN le kar mujhe bhii DhuunDne nikleN

main rastaa bhuul jaauuN, jangaloN meN shaam ho jaaye

maiN vo aadam-gaziidaa huuN jo tanhaii ke sehraa meN

khud apnii chaap sun kar larza-ba-andaam ho jaaye

misaal aisii hai is daur-e-Khirad ke hoshmandoN kii

na ho daaman meN zarra aur sahraa naam ho jaaye

Shakeb apne taarruf ke liye ye baat kaafi hai

ham us se bach ke chalte haiN jo rastaa aam ho jaaye