( Kehny ko to wo mera kaha maan kr gaya

Lakin wo mairi zaat ko sunsaan kr gaya)

( Jholi main bhar k lay gaya mairay tamam dukh

Apni hansi k phool mujhy daan kr gaya)

( Lgta hay us k dum sy hi ronuq thi chaar soo

‘ Ik shakhs saaray shehr ko veeran kr gaya’)

( Chehra wohi raha magr aankhain badul gean

Ik pal main mujh ko jan sy anjan kr gaya)

( Lafzon k teer khaa’ye bina sub samjh gaya

Lehja tmhari aankh ka ehsan kr gaya)

( Jo is k zikar sy bhy guraizan raha bohot

Aisy juda hwa mujhy hairaan kr gaya)

( Apny har ik khawab ki parchai chean kr

Wo ashk miri aankh main mehmaan kr gaya)

fØr|øRñ