kaun kehta hai ke maut aai to mar jaaunga

main to daryaa hun, samandar mein uttar jaaunga

tera dar chhod ke main aur kidhar jaaunga

ghar mein ghir jaaunga, sehraa mein bikhar jaaunga

tere pehlu se jo uthunga to mushkil ye hai

sirf ik shakhs ko paaunga jidhar jaaunga

ab tere shehr mein aaunga musaafir ki tarah

saaya-e-abr ki maanind guzar jaaunga

tera paimaan-e-vafaa raah ki deevaar bana

varna socha tha ke jab chaahunga marr jaaunga

chaara-saazon se alag hai mera mayyaar ke main

zakhm khaaunga to kuch aur sanwar jaaunga

zindagi shamma ki maanind jalaata hun ‘Nadeem’

bujh to jaaunga magar sehr to kar jaaunga!!