karon na yad agar kis tarah bhulaon use

gazal bahana karon aur gungunaon use

wo khar-khar hai shakh-e-gulab ki manind

main zakhm-zakhm hon phir bhi gale lagaon use

ye log tazakare karate hain apne logon se

main kaise bat karon aur kahan se laon use

magar wo zudfaramosh zud ranj bhi hai

ke ruth jaye agar yad kuch dilaon use

vahi jo daulat-e-dil hai vahi jo rahat-e-jan

tumhari bat pe ai nasiho ganvaon use

jo hamsafar sar-e-manzil bichar raha hai ‘Faraz’

ajab nahin ki agar yad bhi na aon use