kamar baandhe hu’e chalne pe yaaN sab yaar baiThe haiN

boh’t aage gaye, baaqi jo haiN tayyaar baiThe haiN

na chheR aye nik’hat-e-baad-e-bahaarii raah lag apnii

tujhe aTkheliyaan suujhii haiN, ham be-zaar baiThe haiN

tasavvur arsh par hai aur sar hai paa-e-saaqi par

Gharz kuchh aur dhun meN is ghaRi mai-Khwaar baiThe haiN

yeh apnii chaal hai uftaagii se in dinoN pahroN

nazar aayaa jahaaN par saaya-e-diivaar baiThe haiN

bhalaa gardish falak ki chain detii hai kise Inshaa

Ghaniimat hai ki ham suurat yahaaN do chaar baiThe haiN