Kam Sukhan Log Jo Sach Bolte Hain

Khud Se Har Girah-e-Sitam Kholte Hain,

Aandhiyaan Khawab Se Jaag Uthi Hain

Kuch Parinde Kaheen Par Tolte Hain,

Jis Ki Baaton Mein Maseehai Ho

Khoon Mein Zaher Wohi Gholte Hain

Uski Aankhon Mein Nasha Cherka Hai

Log Be Wajah Kahaan Dolte Hain,

Jab WOh Mozu-e-Sukhan Ho ‘Mohsin’

Hum Boht La`al-o-Gohar Rolte Hain.