Kahen be-kanar se ratjagy kahen zarnigar se khawab dy,

Tera kia asool hai zindagi? Mujhy kon is ka jawab dy,

Jo bicha sakon tery wasty, jo saja saken tery rasty,

Meri dastaras me sitaray rakh,meri muthiyon me gulab dy,

Ye jo khawahishon ka parind hai,isy mosamon se gharz nahi,

Ye ury ga apni hi mouj me,isy aab dy k sarab dy,

Kbi youn b ho tery ro-ba-ro mein nazar mila k keh sakon,

Meri hasraton ka shumar kr,meri chahaton ka hisab dy,

Teri ek nigah k faiz se meri kasht-e-harf chamak uthy,

Mera lafz lafz ho kehkishan mujhy aik aisi kitab dy.