Kaheen ik masoom nazuk si ladki

Bohat khobsoort mager sanwali si

Mujhay apnay khwabon ki banhoon main paa ker

Kabhi neend main muskurati tu ho gi

Usi neend main karwaten badel ker

Serhanay se takiyay girati tu ho gi

Wohi khawab din ki khamoshi main aa ker

Usay man he man main lubhatay tu hongay

Kaii saaz seenay ki khamoshion main

Meri yaad se jhun jhanatay tu hongay

Woh besakhta dheemay dheemay suron main

Meri dhun main kuch gun gunati tu ho gi

mujhay khat likhnay wo bathi tu hogi

Mager ungliyan kapkapati tu hon gi

Qalam haath se choot jata tu ho ga

mager qalam phir say uthati tu ho gi

Mera naam apni kitabon per likh ker

Woh Danton main ungli dabati tu ho gi

Zuban se kabhi uff nikkalti tu ho gi

Badan dheemay dheemay sulagta tu ho ga

Kahiin k kahiin pauoon pertay tu hongay

Zameen pe dupata larakta tu ho ga

Kabhi subah ko shaam kehti tu ho gi

Kabhi raat ko din banati tu ho gi

Kahheen ik masoom nazuk si ladki

Bohat khoobsorat mager sanwali si