Kahan kisi ke dum par kisi ki zindgani hai.

Apne hi haathon sab apni kahaani likhte hain.

Jidhar dhalaan tha chal nikle udhar hi ko.

Nadiyaa ki dharaa si jab rawaani rakhte hain.

udhar ke ho liye jidhar hawaa ka rukh tha.

Kahaan aise log josh-e-jawaani rakhte hain.

Apne hi haathon apni kahaani likhte hain.

Fakat chhahat se kahaan hoti hai koi cheez apni.

fir bhi na jaane kyun nazar uss par rakhte hain.

milta hai jahaan mein ussi ko sab kuch

apni soch ke sachhe humsafar jo banate hain.

waqt ke ghode ki lagaam kaskar rakhte hain.

Apni manzil ki taraf tezi se chalte hain.

apne hi haathon apni kahaani likhte hain.