Kabhi ai haqiqat-e-muntazir nazar a libas-e-majaz mein k hazaron sajde tarap rahe hain teri jabin-e-niyaz mein tarap ashna-e-kharosh ho tu nawa hai mahram-e-gosh ho wo surur kya k chaya hua ho sukut-e-parda-o-saz mein tu bacha bacha k na rakh ise tera aina hai wo aina k shikasta ho to aziz tar hai nighah-e-aina- saz mein dam-e-tauf kar mak-e-shamma na ye kaha ke wo asr-e-kohan na teri hikayat-e-soz mein na meri hadis-e-gudaz mein na kahin jahan mein aman mili jo aman mili to kahan mili mere jurm-e- khankharab ko tere azo-e-banda-nawaz mein na wo ishq mein rahin garmiyan na wo husn mein rahin shokhiyan na wo gaznawi mein jo mein sar-ba-sajda kabhi hua to zamin se ane laga sada tera dil to hai sanam-ashana tujhe kya milega namaz mein