‘KAATO KE BEECH REH KAR

DEKHO PHOOL KAISE MUSKURATA HAI

APNE DUKH,APNI CHUBHAN KO

HUM SE WO CHUPATA HAI

KHIL KHILATA HUA SAB KO

NAZAR WO AATA HAI

KAATO KI CHUBHAN KO

HASTE HASTE JHEL JATA HAI

PYAR KA NAJRANA BAN

ZINDAGI BHAR SATH NIBHATA HAI

PYAR KE TEEN SHABDO KO

APNE MEIN WO SAMATA HAI

KHUD KAATO MEIN REH KAR

HUMKO SEEKH WO DE JATA HAI

APNE BADAN KO CHALNI KAR

DUSRO PE MARHAM LAGATA HAI

SHAM KE DHALTE – DHALTE

YAHI FASANA DOHRATA HAI

PHOOL KA DIL BHI CHALNI HAI

HASTA CHERA EK BAHANA LAGTA HAI

BAN PYAR KA NAJRANA

HAZAROO KHUSHIYA WO DE JATA HAI’!!