kaash ajj ki raat woh mary mahman hotey

Maen karta chahaton ka izhar us se

Phir na koi b faslay darmiyan hotey

Kuch sunta us ki kuch kahta apni

Dastanon k yeh safar rawan hotey

kaash ajj ki raat woh mary mahman hotey

Maen dekhta betha kar samne us ko

Mari ankhon main who aks pinha hotey

Maen chumta us ko apni ankhon k laboon se

phir silsalay muhabaton k rawan hotey

kaash ajj ki raat woh mary mahman hotey

Woh simat.ti Muskarati or Sharmati

Jab rawan hamari muhabaton k beayan hotey

Maen sitaron se bar data daman us ka Ajiz

Asa hota mahol jesay chragan hotey

kaash ajj ki raat woh mary mahman hotey’